dil-e-wahshat-shiar ki baaten
dil-e-vahshat-shi.ār kī bāteñ
ab se anjām-e-kār kī bāteñ
vo khulī chāñdnī vo sard havā
vo mohabbat vo pyaar kī bāteñ
merī jānib nigāh-e-lutf-asar
jazb-e-kam-e.atibār kī bāteñ
kitnī mā'sūm kis qadar mā'sūm
husn-e-begāna-vār kī bāteñ
be-qarārī hī vaj.h-e-taskīñ ho
ek be-iḳhtiyār kī bāteñ
har tabāhī ko marhabā kahiye
zabt-e-nā-ḳhush-gavār kī bāteñ
ai 'sahar' pastī-e-taḳhayyul hai
zulf-o-gesū-e-yār kī bāteñ
dil-e-wahshat-shiar ki baaten
ab se anjam-e-kar ki baaten
wo khuli chandni wo sard hawa
wo mohabbat wo pyar ki baaten
meri jaanib nigah-e-lutf-asar
jazb-e-kam-eatibar ki baaten
kitni ma'sum kis qadar ma'sum
husn-e-begana-war ki baaten
be-qarari hi wajh-e-taskin ho
ek be-iKHtiyar ki baaten
har tabahi ko marhaba kahiye
zabt-e-na-KHush-gawar ki baaten
ai 'sahar' pasti-e-taKHayyul hai
zulf-o-gesu-e-yar ki baaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.