dil-e-vīrān kā saanī nahīñ hai
kisī meñ aisī vīrānī nahīñ hai
darūn-e-halqa-e-girdāb haiñ ham
par in āñkhoñ meñ tuġhyānī nahīñ hai
yahāñ ye kaun sach-much hañs rahā hai
bhalā kis meñ pashemānī nahīñ hai
hai dil kī ret par phailī mohabbat
ye vo paanī hai jo paanī nahīñ hai
use jaanā hī thā ik din achānak
mujhe bilkul bhī hairānī nahīñ hai
ye girya hai mirī aadat meñ shāmil
mujhe koī pareshānī nahīñ hai
badan ke saath hī miT jā.eñge sab
koī bhī dard lā-fānī nahīñ hai
dil-e-viran ka sani nahin hai
kisi mein aisi virani nahin hai
darun-e-halqa-e-girdab hain hum
par in aankhon mein tughyani nahin hai
yahan ye kaun sach-much hans raha hai
bhala kis mein pashemani nahin hai
hai dil ki ret par phaili mohabbat
ye wo pani hai jo pani nahin hai
use jaana hi tha ek din achanak
mujhe bilkul bhi hairani nahin hai
ye girya hai meri aadat mein shamil
mujhe koi pareshani nahin hai
badan ke sath hi miT jaenge sab
koi bhi dard la-fani nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.