dil gham-e-rozgar se nikla
dil ġham-e-rozgār se niklā
kis ghane ḳhārzār se niklā
ham-safar ho ga.e mah-o-anjum
maiñ jo apne hisār se niklā
shor thā lāThiyoñ kā saḌkoñ par
saañp ghar kī darār se niklā
jis ko kāñTā samajh rahe the log
us kā rishta bahār se niklā
kar gayā muntashir nizām-e-jahāñ
jo bhī zarra qatār se niklā
ho gayā bahr-e-be-karāñ vo 'salīm'
jo bhī dariyā kanār se niklā
dil gham-e-rozgar se nikla
kis ghane KHarzar se nikla
ham-safar ho gae mah-o-anjum
main jo apne hisar se nikla
shor tha laThiyon ka saDkon par
sanp ghar ki darar se nikla
jis ko kanTa samajh rahe the log
us ka rishta bahaar se nikla
kar gaya muntashir nizam-e-jahan
jo bhi zarra qatar se nikla
ho gaya bahr-e-be-karan wo 'salim'
jo bhi dariya kanar se nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.