dil gaya dil se dil ki baat gai
dil gayā dil se dil kī baat ga.ī
vo ga.e lazzat-e-hayāt ga.ī
ġhunche afsurda phuul pazhmurda
fasl-e-gul jaise un ke saat ga.ī
un ke jalve nigāh meñ na rahe
raunaq-e-bazm-e-kā.enāt ga.ī
dil-e-nādāñ ko laakh samjhāyā
kuchh na samjhā ye saarī raat ga.ī
sāya-e-zulf meñ jo guzrī thī
kaun jaane kidhar vo raat ga.ī
uTh gayā parda-e-ajal jis dam
ik hayāt aa.ī ik hayāt ga.ī
'shauq' bazm-e-jahāñ kī raunaq hai
ye gayā rūh-e-kā.enāt ga.ī
dil gaya dil se dil ki baat gai
wo gae lazzat-e-hayat gai
ghunche afsurda phul pazhmurda
fasl-e-gul jaise un ke sat gai
un ke jalwe nigah mein na rahe
raunaq-e-bazm-e-kaenat gai
dil-e-nadan ko lakh samjhaya
kuchh na samjha ye sari raat gai
saya-e-zulf mein jo guzri thi
kaun jaane kidhar wo raat gai
uTh gaya parda-e-ajal jis dam
ek hayat aai ek hayat gai
'shauq' bazm-e-jahan ki raunaq hai
ye gaya ruh-e-kaenat gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.