dil gaya sanson ka ab gham kya karen
dil gayā sāñsoñ kā ab ġham kyā kareñ
tum batāo jaañ ki ab ham kyā kareñ
phuul hai is ko to murjhānā hī hai
marte marte ḳhushbueñ kam kyā kareñ
dekh kar ye zulf bādal tū batā
gar na barseñ ye jhamā-jham kyā kareñ
hikmateñ kar thak chuke sab hī yahāñ
ishq se haare vo hamdam kyā kareñ
ḳhāmushī meñ hī bhalā.ī hai miyāñ
sar-phiroñ ko aur barham kyā kareñ
faisle kī nok par hai zindagī
ye ghaḌī marne kī ab dam kyā kareñ
dekhiye kaisī madad baḳhshī hameñ
kah rahe jī ham nahīñ ham kyā kareñ
dil gaya sanson ka ab gham kya karen
tum batao jaan ki ab hum kya karen
phul hai is ko to murjhana hi hai
marte marte KHushbuen kam kya karen
dekh kar ye zulf baadal tu bata
gar na barsen ye jhama-jham kya karen
hikmaten kar thak chuke sab hi yahan
ishq se haare wo hamdam kya karen
KHamushi mein hi bhalai hai miyan
sar-phiron ko aur barham kya karen
faisle ki nok par hai zindagi
ye ghaDi marne ki ab dam kya karen
dekhiye kaisi madad baKHshi hamein
kah rahe ji hum nahin hum kya karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.