dil gaya shoKHi-e-guftar kahan se laun
dil gayā shoḳhī-e-guftār kahāñ se lā.ūñ
ab vo pairāya-e-iz.hār kahāñ se lā.ūñ
qissa-e-gardish-e-daurāñ se abhī hosh nahīñ
dāstān-e-lab-o-ruḳhsār kahāñ se lā.ūñ
iltijā ke liye apnoñ se takalluf hai mujhe
sheva-e-minnat-e-aġhyār kahāñ se lā.ūñ
shirkat-e-ġhair mohabbat meñ gavārā kar luuñ
is qadar jazba-e-īsār kahāñ se lā.ūñ
ātish-e-hijr ke tapte hue sahrāoñ meñ
rāhat-e-sāya-e-dīvār kahāñ se lā.ūñ
tū hai nazdīk-e-rag-e-jāñ magar ai husn-e-tamām
terā jalva tirā dīdār kahāñ se lā.ūñ
'bazm' mohlat nahīñ dete mujhe afkār-e-jahāñ
fursat-e-kasrat-e-ash.ār kahāñ se lā.ūñ
dil gaya shoKHi-e-guftar kahan se laun
ab wo pairaya-e-izhaar kahan se laun
qissa-e-gardish-e-dauran se abhi hosh nahin
dastan-e-lab-o-ruKHsar kahan se laun
iltija ke liye apnon se takalluf hai mujhe
shewa-e-minnat-e-aghyar kahan se laun
shirkat-e-ghair mohabbat mein gawara kar lun
is qadar jazba-e-isar kahan se laun
aatish-e-hijr ke tapte hue sahraon mein
rahat-e-saya-e-diwar kahan se laun
tu hai nazdik-e-rag-e-jaan magar ai husn-e-tamam
tera jalwa tera didar kahan se laun
'bazm' mohlat nahin dete mujhe afkar-e-jahan
fursat-e-kasrat-e-ashaar kahan se laun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.