dil giran-bari-e-wahshat mein jidhar jata hai
dil girāñ-bārī-e-vahshat meñ jidhar jaatā hai
shab-e-marhūm ke ḳhvāboñ sā bikhar jaatā hai
koī paimān-e-vafā sabr se bhar jaatā hai
chār-o-nā-chār kī dahshat meñ guzar jaatā hai
dhānī āvāzoñ ke sur-tāl meñ bahte bahte
raqs-e-sahrā.ī ke vo ban meñ utar jaatā hai
ret par jalte hue dekh sarāboñ ke charāġh
apne bikhrāv meñ vo aur sañvar jaatā hai
dil giran-bari-e-wahshat mein jidhar jata hai
shab-e-marhum ke KHwabon sa bikhar jata hai
koi paiman-e-wafa sabr se bhar jata hai
chaar-o-na-chaar ki dahshat mein guzar jata hai
dhani aawazon ke sur-tal mein bahte bahte
raqs-e-sahrai ke wo ban mein utar jata hai
ret par jalte hue dekh sarabon ke charagh
apne bikhraw mein wo aur sanwar jata hai
- Book : Zamin Lapata Rahi (Pg. 152)
- Author : Hanif Tareen
- Publication : Libarty Art Press, Pataudi House, Darya Ganj, (2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.