dil-girafta hi sahi bazm saja li jae
dil-girafta hī sahī bazm sajā lī jaa.e
yād-e-jānāñ se koī shaam na ḳhālī jaa.e
rafta rafta yahī zindāñ meñ badal jaate haiñ
ab kisī shahr kī buniyād na Daalī jaa.e
mus.haf-e-ruḳh hai kisī kā ki bayāz-e-hāfiz
aise chehre se kabhī faal nikālī jaa.e
vo muravvat se milā hai to jhukā duuñ gardan
mere dushman kā koī vaar na ḳhālī jaa.e
be-navā shahr kā saaya hai mire dil pe 'farāz'
kis tarah se mirī āshufta-ḳhayālī jaa.e
dil-girafta hi sahi bazm saja li jae
yaad-e-jaanan se koi sham na KHali jae
rafta rafta yahi zindan mein badal jate hain
ab kisi shahr ki buniyaad na Dali jae
mushaf-e-ruKH hai kisi ka ki bayaz-e-hafiz
aise chehre se kabhi fal nikali jae
wo murawwat se mila hai to jhuka dun gardan
mere dushman ka koi war na KHali jae
be-nawa shahr ka saya hai mere dil pe 'faraaz'
kis tarah se meri aashufta-KHayali jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.