dil-girafta hun jahan-shad hun main
dil-girafta huuñ jahāñ-shād huuñ maiñ
ek majmua-e-azdād huuñ maiñ
terā merā hai gumāñ kā rishta
tū hai merī tirī ījād huuñ maiñ
tujh ko ye ġham ki giraftār hai tū
mujh ko ye ranj ke āzād huuñ maiñ
koī rasta hai na koī manzil
gard huuñ aur sar-e-bād huuñ maiñ
tan-e-tanhā kā huuñ apne nāsir
ḳhud ko pahuñchī huī imdād huuñ maiñ
sirf maiñ apnī kahānī hī nahīñ
sun mujhe terī bhī rūdād huuñ maiñ
merī tāmīr kā mujh par hai khaḌā
bahut khodī huī buniyād huuñ maiñ
dil-girafta hun jahan-shad hun main
ek majmua-e-azdad hun main
tera mera hai guman ka rishta
tu hai meri teri ijad hun main
tujh ko ye gham ki giraftar hai tu
mujh ko ye ranj ke aazad hun main
koi rasta hai na koi manzil
gard hun aur sar-e-baad hun main
tan-e-tanha ka hun apne nasir
KHud ko pahunchi hui imdad hun main
sirf main apni kahani hi nahin
sun mujhe teri bhi rudad hun main
meri tamir ka mujh par hai khaDa
bahut khodi hui buniyaad hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.