dil hai apnā to ġham parā.e haiñ
haa.e kyā kyā fareb khaa.e haiñ
taar ashkoñ kā kis tarah TuuTe
ham bhī ik baar muskurā.e haiñ
takiya thā zād-e-rāh par apnā
rāhzan kitne kaam aa.e haiñ
maiñ ye samjhā thā ham-safar hoñge
aah kitne muhīb saa.e haiñ
bhuul baiThe huuñ vo kahīñ ai dil
aaj kyuuñ itne yaad aa.e haiñ
dil hai apna to gham parae hain
hae kya kya fareb khae hain
tar ashkon ka kis tarah TuTe
hum bhi ek bar muskurae hain
takiya tha zad-e-rah par apna
rahzan kitne kaam aae hain
main ye samjha tha ham-safar honge
aah kitne muhib sae hain
bhul baiThe hun wo kahin ai dil
aaj kyun itne yaad aae hain
- Book : Aaina-e-Dil (Pg. 69)
- Author : Dil Ayubi
- Publication : Nazish Book Center Lahore (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.