dil hai barbaad-e-tamanna jaanan
dil hai barbād-e-tamannā jānāñ
aur ham tujh se kaheñ kyā jānāñ
chhoḌ ke ham ne to raste saare
chun liyā pyaar kā rasta jānāñ
TuuT saktā hai agar tū chāhe
dard se dil kā ye rishta jānāñ
tū mile ham se to batlā.eñ tujhe
ham ko armān haiñ kyā kyā jānāñ
chāheñ kyā chāhne vaale tere
tū jo chāhe vahī hogā jānāñ
ḳhvāb bunñe lagīñ āñkheñ kyā kyā
ham ne jab jab tujhe dekhā jānāñ
terā 'dānish' hai gurezāñ tujh se
aa gayā vaqt ye kaisā jānāñ
dil hai barbaad-e-tamanna jaanan
aur hum tujh se kahen kya jaanan
chhoD ke hum ne to raste sare
chun liya pyar ka rasta jaanan
TuT sakta hai agar tu chahe
dard se dil ka ye rishta jaanan
tu mile hum se to batlaen tujhe
hum ko arman hain kya kya jaanan
chahen kya chahne wale tere
tu jo chahe wahi hoga jaanan
KHwab bunne lagin aankhen kya kya
hum ne jab jab tujhe dekha jaanan
tera 'danish' hai gurezan tujh se
aa gaya waqt ye kaisa jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.