dil hai masarrat-e-gham-e-jaanan liye hue
dil hai masarrat-e-ġham-e-jānāñ liye hue
lekin malāl-e-talḳhī-e-daurāñ liye hue
ai dil na ho udaas ḳhudārā na ho udaas
ehsās-e-tishna-kāmī-e-armāñ liye hue
har mushkil-e-hayāt hai ḳhud apnī aaḌ meñ
āsānī-e-hayāt kā sāmāñ liye hue
har kam-nazar ko de ke zamāne kī rāhateñ
maiñ ḳhush huuñ apnā qalb-e-pareshāñ liye hue
ai rahravān-e-sāhil-e-ummīd hoshiyār
sāhil hai apnī god meñ tūfāñ liye hue
ai dost apne aap pe nāzāñ rahā huuñ maiñ
ik azm-e-sar-bulandī-e-insāñ liye hue
ummīd-e-iltifāt pe baiThā huuñ mutma.in
sarmāya-e-nadāmat-e-isyāñ liye hue
us anjuman meñ jā to rahā huuñ magar 'atīq'
dil meñ kashākash-e-ġham-e-daurāñ liye hue
dil hai masarrat-e-gham-e-jaanan liye hue
lekin malal-e-talKHi-e-dauran liye hue
ai dil na ho udas KHudara na ho udas
ehsas-e-tishna-kaami-e-arman liye hue
har mushkil-e-hayat hai KHud apni aaD mein
aasani-e-hayat ka saman liye hue
har kam-nazar ko de ke zamane ki rahaten
main KHush hun apna qalb-e-pareshan liye hue
ai rahrawan-e-sahil-e-ummid hoshiyar
sahil hai apni god mein tufan liye hue
ai dost apne aap pe nazan raha hun main
ek azm-e-sar-bulandi-e-insan liye hue
ummid-e-iltifat pe baiTha hun mutmain
sarmaya-e-nadamat-e-isyan liye hue
us anjuman mein ja to raha hun magar 'atiq'
dil mein kashakash-e-gham-e-dauran liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.