dil hai mushtaq juda aankh talabgar juda
dil hai mushtāq judā aañkh talabgār judā
ḳhvāhish-e-vasl judā hasrat-e-dīdār judā
zāhidoñ se na banī hashr ke din bhī yā-rab
vo khaḌe haiñ tirī rahmat ke talabgār judā
jī jalāne ko satāne ko miTāne ko mujhe
vo judā ġhair judā charḳh-e-sitam-gār judā
bijliyāñ hazrat-e-mūsā pe girīñ do ik baar
shola-e-shauq judā shola-e-dīdār judā
ho ga.e vo sahar-e-vasl ye kah kar ruḳhsat
tujh se kartā hai mujhe charḳh-e-sitamgār judā
qatl karte hī mujhe jalva-numā.ī bhī huī
dar pe hañgāma alag hai pas-e-dīvār judā
zāhidoñ kī tirī rahmat pe chaḌhā.ī hai alag
Toliyāñ bāñdh kar aa.e haiñ gunahgār judā
vaz.a kā paas bhī hai 'beḳhud'-e-mai-ḳhvār zarūr
kaag botal se na kījiye sar-e-bāzār judā
dil hai mushtaq juda aankh talabgar juda
KHwahish-e-wasl juda hasrat-e-didar juda
zahidon se na bani hashr ke din bhi ya-rab
wo khaDe hain teri rahmat ke talabgar juda
ji jalane ko satane ko miTane ko mujhe
wo juda ghair juda charKH-e-sitam-gar juda
bijliyan hazrat-e-musa pe girin do ek bar
shola-e-shauq juda shola-e-didar juda
ho gae wo sahar-e-wasl ye kah kar ruKHsat
tujh se karta hai mujhe charKH-e-sitamgar juda
qatl karte hi mujhe jalwa-numai bhi hui
dar pe hangama alag hai pas-e-diwar juda
zahidon ki teri rahmat pe chaDhai hai alag
Toliyan bandh kar aae hain gunahgar juda
waza ka pas bhi hai 'beKHud'-e-mai-KHwar zarur
kag botal se na kijiye sar-e-bazar juda
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 159)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.