dil hai to magar dil mein wo jazbaat nahin ab
dil hai to magar dil mein wo jazbaat nahin ab
Habeeb Ahmad Siddiqui
MORE BYHabeeb Ahmad Siddiqui
dil hai to magar dil meñ vo jazbāt nahīñ ab
ik saaz hai jo hāmil-e-naġhmāt nahīñ ab
vo silsila-e-harf-o-hikāyāt nahīñ ab
milte haiñ magar lutf-e-mulāqāt nahīñ ab
dar-parda ishārāt-o-kināyāt nahīñ ab
ya.anī nazar-afroz hijābāt nahīñ ab
milne ko to miltī haiñ nigāhoñ se nigāheñ
vo lutf-e-savālāt-o-javābāt nahīñ ab
ab shām-o-sahar meñ nahīñ be-tābī-e-fitrat
āshob-e-tamannā liye din-rāt nahīñ ab
sahbā-e-tarab kaun piye kaun pilā.e
vo rind vo saaqī vo ḳharābāt nahīñ ab
sab uTh ga.e ḳhush-rang hijābāt nazar se
duniyā mirī nazroñ meñ tilismāt nahīñ ab
dil hai to magar dil mein wo jazbaat nahin ab
ek saz hai jo hamil-e-naghmat nahin ab
wo silsila-e-harf-o-hikayat nahin ab
milte hain magar lutf-e-mulaqat nahin ab
dar-parda ishaaraat-o-kinayat nahin ab
yani nazar-afroz hijabaat nahin ab
milne ko to milti hain nigahon se nigahen
wo lutf-e-sawalat-o-jawabaat nahin ab
ab sham-o-sahar mein nahin be-tabi-e-fitrat
aashob-e-tamanna liye din-raat nahin ab
sahba-e-tarab kaun piye kaun pilae
wo rind wo saqi wo KHarabaat nahin ab
sab uTh gae KHush-rang hijabaat nazar se
duniya meri nazron mein tilismat nahin ab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.