dil humne jo chashm-e-but-e-bebak se bandha
dil ham ne jo chashm-e-but-e-bebāk se bāñdhā
phir nashsha-e-sahbā se na tiryāk se bāñdhā
us zulf se jab rabt huā jī ko to ham ne
shāne kā tasavvur dil-e-sad-chāk se bāñdhā
dekhā na qad-e-sarv ko phir ham ne chaman meñ
jis din se dil us qāmat-e-chālāk se bāñdhā
jo āhū-e-dil bhā gayā us sad-fagan ko
jhap us ne use kākul-e-pechāk se bāñdhā
aur jo na pasand aayā use vo to 'nazīr' aah
ne said kiyā us ko na fitrāk se bāñdhā
dil hum ne jo chashm-e-but-e-bebak se bandha
phir nashsha-e-sahba se na tiryak se bandha
us zulf se jab rabt hua ji ko to hum ne
shane ka tasawwur dil-e-sad-chaak se bandha
dekha na qad-e-sarw ko phir hum ne chaman mein
jis din se dil us qamat-e-chaalak se bandha
jo aahu-e-dil bha gaya us sad-fagan ko
jhap us ne use kakul-e-pechaak se bandha
aur jo na pasand aaya use wo to 'nazir' aah
ne said kiya us ko na fitrak se bandha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.