dil hi dil mein aarzu jis ki kiya karte the hum
dil hī dil meñ aarzū jis kī kiyā karte the ham
mashvare bhī 'ishq ke us ko diyā karte the ham
jaane kitne saal guzre jaane kitne din ga.e
ek aisā daur bhī thā jab jiyā karte the ham
ab chhupā.e phir rahe haiñ ham jo apne zaḳhm-e-dil
un piyāloñ se kabhī khul kar piyā karte the ham
ham ko har muḳhlis davā bhī lagtī hai ḳhanjar sī ab
ek zālim kī balā.eñ sar liyā karte the ham
raushnī ke darmiyān ik tīrgī se dil milā
phir banāne tīrgī ḳhud hī ziyā karte the ham
us ke jaane kā sabab sochā to uljhe ḳhud se hī
aap hī apnā garebāñ phir siyā karte the ham
dil hi dil mein aarzu jis ki kiya karte the hum
mashware bhi 'ishq ke us ko diya karte the hum
jaane kitne sal guzre jaane kitne din gae
ek aisa daur bhi tha jab jiya karte the hum
ab chhupae phir rahe hain hum jo apne zaKHm-e-dil
un piyalon se kabhi khul kar piya karte the hum
hum ko har muKHlis dawa bhi lagti hai KHanjar si ab
ek zalim ki balaen sar liya karte the hum
raushni ke darmiyan ek tirgi se dil mila
phir banane tirgi KHud hi ziya karte the hum
us ke jaane ka sabab socha to uljhe KHud se hi
aap hi apna gareban phir siya karte the hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.