dil hi sahi samjhane wala
dil hī sahī samjhāne vaalā
koī to hai ġham khāne vaalā
dil ke kyā kyā taur the lekin
phuul thā ik murjhāne vaalā
hijr kī shab hai aur mirā dil
shaam hī se ghabrāne vaalā
Duub chale taare bhī ab to
kab aa.egā aane vaalā
dil kī lagī dil vaalā jaane
kyā samjhe samjhāne vaalā
roiye laakh 'zakā' ab dil ko
kab aayā hai jaane vaalā
dil hi sahi samjhane wala
koi to hai gham khane wala
dil ke kya kya taur the lekin
phul tha ek murjhane wala
hijr ki shab hai aur mera dil
sham hi se ghabrane wala
Dub chale tare bhi ab to
kab aaega aane wala
dil ki lagi dil wala jaane
kya samjhe samjhane wala
roiye lakh 'zaka' ab dil ko
kab aaya hai jaane wala
- Book : sheerazah (Pg. 59)
- Author : makhmoor saeedi,Parem Gopal Mittal
- Publication : P -K Publication 3072 Partap stareet gola Market -Daryaganj delhi-6 (1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.