dil ho aawara magar aql Thikane se rahe
dil ho āvāra magar aql Thikāne se rahe
ham ye ādāb mohabbat ke nibhāne se rahe
in dinoñ naaz uThāne kā nahīñ hai yaarā
ham to ḳhud se haiñ ḳhafā un ko manāne se rahe
hijr kī dhuup ne āñkhoñ meñ namī tak na rakhī
ab tirī yaad meñ ham ashk bahāne se rahe
hai zamāne ko mohabbat kā taqāzā ham se
ham jo mahrūm-e-mohabbat hī zamāne se rahe
dil hai 'vāsiq' tirā pāgal ise samjhā lenā
ḳhairiyat chāhe jo apnī to Thikāne se rahe
dil ho aawara magar aql Thikane se rahe
hum ye aadab mohabbat ke nibhane se rahe
in dinon naz uThane ka nahin hai yara
hum to KHud se hain KHafa un ko manane se rahe
hijr ki dhup ne aankhon mein nami tak na rakhi
ab teri yaad mein hum ashk bahane se rahe
hai zamane ko mohabbat ka taqaza hum se
hum jo mahrum-e-mohabbat hi zamane se rahe
dil hai 'wasiq' tera pagal ise samjha lena
KHairiyat chahe jo apni to Thikane se rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.