dil ho gaya hai gham se tere daghdar KHub
dil ho gayā hai ġham se tire dāġhdār ḳhuub
phūlā hai kyā hī josh se ye lāla-zār ḳhuub
kab tak rahūñ hijāb meñ mahrūm vasl se
jī meñ hai kiije pyaar se bos-o-kanār ḳhuub
saaqī lagā ke barf meñ mai kī surāhī lā
āñkhoñ meñ chhā rahā hai nashe kā ḳhumār ḳhuub
aayā na ek din bhī tū va.ada pe raat ko
achchhā kiyā sulūk taġhāful-shi.ār ḳhuub
aisī havā bañdhī rahe 'chandā' kī yā alī
bā-sad-bahār dekhe jahāñ kī bahār ḳhuub
dil ho gaya hai gham se tere daghdar KHub
phula hai kya hi josh se ye lala-zar KHub
kab tak rahun hijab mein mahrum wasl se
ji mein hai kije pyar se bos-o-kanar KHub
saqi laga ke barf mein mai ki surahi la
aankhon mein chha raha hai nashe ka KHumar KHub
aaya na ek din bhi tu wada pe raat ko
achchha kiya suluk taghaful-shiar KHub
aisi hawa bandhi rahe 'chanda' ki ya ali
ba-sad-bahaar dekhe jahan ki bahaar KHub
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.