dil ho hassas to jine mein bahut ghaTa hai
dil ho hassās to jiine meñ bahut ghāTā hai
maiñ ne ḳhud apne hī zaḳhmoñ kā lahū chāTā hai
mujh pe ehsāñ hai mirī tesha-ba-kaf sāñsoñ kā
zindagī tujh ko pahāḌoñ kī tarah kaaTā hai
Duub kar dekh samundar huuñ maiñ āvāzoñ kā
tālib-e-husn-e-samā.at mirā sannāTā hai
maiñ chaTānoñ kī tarah jin kī kamīñ-gāh banā
rafta rafta unhīñ lahroñ ne mujhe chāTā hai
mar chukā huuñ maiñ ka.ī baar jahāñ ke hāthoñ
apnī lāshoñ se 'muzaffar' ye kuaañ paaTā hai
dil ho hassas to jine mein bahut ghaTa hai
main ne KHud apne hi zaKHmon ka lahu chaTa hai
mujh pe ehsan hai meri tesha-ba-kaf sanson ka
zindagi tujh ko pahaDon ki tarah kaTa hai
Dub kar dekh samundar hun main aawazon ka
talib-e-husn-e-samaat mera sannaTa hai
main chaTanon ki tarah jin ki kamin-gah bana
rafta rafta unhin lahron ne mujhe chaTa hai
mar chuka hun main kai bar jahan ke hathon
apni lashon se 'muzaffar' ye kuan paTa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.