dil jalane ka kaam karta hai
dil jalāne kā kaam kartā hai
kar ke rusvā salām kartā hai
ab mohabbat nahīñ use mujh se
bas mirā ehtirām kartā hai
us meñ ḳhūbī hai bādshāhoñ sī
har kisī ko ġhulām kartā hai
us kī bāteñ haiñ āyatoñ jaisī
vo ḳhudā sā kalām kartā hai
us se pūchho bichhaḌ ke vo bhī mujhe
yaad kyā sub.h shaam kartā hai
dil jalane ka kaam karta hai
kar ke ruswa salam karta hai
ab mohabbat nahin use mujh se
bas mera ehtiram karta hai
us mein KHubi hai baadshahon si
har kisi ko ghulam karta hai
us ki baaten hain aayaton jaisi
wo KHuda sa kalam karta hai
us se puchho bichhaD ke wo bhi mujhe
yaad kya subh sham karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.