dil jalta hai sham sawere
dil jaltā hai shaam savere
ek charāġh aur laakh añdhere
bhīgī palkeñ niiñd se ḳhālī
chain ke dushman rain-basere
log samajhte haiñ saudā.ī
pyaar ne apne bhī din phere
apnā apnā dard hai varna
kis kī galiyāñ kaise phere
un kā vo ma.asūm tabassum
jaise koī phuul bikhere
a ġham-e-daurāñ a ġham-e-jānāñ
dil hai ek sitam bahutere
kaise pahuñche niiñd āñkhoñ tak
baiThā hai dil rasta ghere
tū hī batā ye dard hai kaisā
palkeñ merī aañsū tere
dil jalta hai sham sawere
ek charagh aur lakh andhere
bhigi palken nind se KHali
chain ke dushman rain-basere
log samajhte hain saudai
pyar ne apne bhi din phere
apna apna dard hai warna
kis ki galiyan kaise phere
un ka wo masum tabassum
jaise koi phul bikhere
a gham-e-dauran a gham-e-jaanan
dil hai ek sitam bahutere
kaise pahunche nind aankhon tak
baiTha hai dil rasta ghere
tu hi bata ye dard hai kaisa
palken meri aansu tere
- Book : Kalam Qateel Shifai (Pg. 225)
- Author : Qateel Shifai
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.