dil jhuka mail tabiat ho gai
dil jhukā maa.il tabī.at ho ga.ī
aaj bismillāh ulfat ho ga.ī
mahv dil se sab shikāyat ho ga.ī
sāmne jab un kī sūrat ho ga.ī
merā hāl-e-zār to dekhā magar
ye na pūchhā kyuuñ ye hālat ho ga.ī
vo fareb-e-nāz de kar le ga.e
kitnī arzāñ dil kī qīmat ho ga.ī
dil meñ jab tak aah thī ik baat thī
lab tak aate hī hikāyat ho ga.ī
jab na Daalā us ne aa kar koī phuul
gul hamārī sham-e-turbat ho ga.ī
fitna-sāzī tak jo thī mashq ḳhirām
rafta rafta vo qayāmat ho ga.ī
kaisī matlab-āshnā thī chashm-e-shoḳh
dil uḌāyā aur champat ho ga.ī
chashm pur nam ne kiyā ifshā raaz
ābrū-e-zabt ġhārat ho ga.ī
dil kī chāloñ kā natīja ye huā
vaqt se pahle qayāmat ho ga.ī
de diyā dil jis ko ham ne de diyā
ho ga.ī jis se mohabbat ho ga.ī
kah ga.e 'ahsan' ke muñh par aaj vo
terī sūrat se bhī nafrat ho ga.ī
dil jhuka mail tabiat ho gai
aaj bismillah ulfat ho gai
mahw dil se sab shikayat ho gai
samne jab un ki surat ho gai
mera haal-e-zar to dekha magar
ye na puchha kyun ye haalat ho gai
wo fareb-e-naz de kar le gae
kitni arzan dil ki qimat ho gai
dil mein jab tak aah thi ek baat thi
lab tak aate hi hikayat ho gai
jab na Dala us ne aa kar koi phul
gul hamari sham-e-turbat ho gai
fitna-sazi tak jo thi mashq KHiram
rafta rafta wo qayamat ho gai
kaisi matlab-ashna thi chashm-e-shoKH
dil uDaya aur champat ho gai
chashm pur nam ne kiya ifsha raaz
aabru-e-zabt ghaarat ho gai
dil ki chaalon ka natija ye hua
waqt se pahle qayamat ho gai
de diya dil jis ko hum ne de diya
ho gai jis se mohabbat ho gai
kah gae 'ahsan' ke munh par aaj wo
teri surat se bhi nafrat ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.