Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil jins-e-mohabbat ka KHaridar nahin hai

Baqi Siddiqui

dil jins-e-mohabbat ka KHaridar nahin hai

Baqi Siddiqui

MORE BYBaqi Siddiqui

    dil jins-e-mohabbat ḳharīdār nahīñ hai

    pahlī vo ab sūrat-bāzār nahīñ hai

    har baar vahī soch vahī zahr sāġhar

    is par ye sitam jur.at-e-inkār nahīñ hai

    kuchh uTh ke bagūloñ tarah ho ga.e raqsāñ

    kuchh kahte rahe rāsta hamvār nahīñ hai

    dil Duub gayā lazzat-e-āġhosh-e-sahar meñ

    bedār hai is tarah ki bedār nahīñ hai

    ham is se matā-e-dil-o-jāñ maañg rahe haiñ

    jo ek tabassum ravādār nahīñ hai

    ye sar se nikaltī huī logoñ fasīleñ

    dil se magar ūñchī koī dīvār nahīñ hai

    dam saadh ke baiThā huuñ agarche mire sar par

    ik shāḳh-e-samar-dār hai talvār nahīñ hai

    dam lo na kahīñ dhuup meñ chalte raho 'bāqī'

    apne liye ye sāya-e-ashjār nahīñ hai

    dil jins-e-mohabbat ka KHaridar nahin hai

    pahli si wo ab surat-bazar nahin hai

    har bar wahi soch wahi zahr ka saghar

    is par ye sitam jurat-e-inkar nahin hai

    kuchh uTh ke bagulon ki tarah ho gae raqsan

    kuchh kahte rahe rasta hamwar nahin hai

    dil Dub gaya lazzat-e-aghosh-e-sahar mein

    bedar hai is tarah ki bedar nahin hai

    hum is se mata-e-dil-o-jaan mang rahe hain

    jo ek tabassum ka rawadar nahin hai

    ye sar se nikalti hui logon ki fasilen

    dil se magar unchi koi diwar nahin hai

    dam sadh ke baiTha hun agarche mere sar par

    ek shaKH-e-samar-dar hai talwar nahin hai

    dam lo na kahin dhup mein chalte raho 'baqi'

    apne liye ye saya-e-ashjar nahin hai

    Source :
    • Book : auraq salnama magazines (Pg. 492)
    • Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
    • Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore ( 1967 )
    • Edition : 1967
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now