dil jo dard-ashna nahin hota
dil jo dard-āshnā nahīñ hotā
vo kisī kaam kā nahīñ hotā
dil nahīñ hai vo aur hī kuchh hai
jis meñ kuchh mudda.ā nahīñ hotā
laakh meñ koī ek hotā hai
har bashar pārsā nahīñ hotā
daur-e-hāzir meñ kaun hotā hai
koī apnā sagā nahīñ hotā
bhuul bhī jā.iye 'ziyā' sāhib
ḳhuun koī judā nahīñ hotā
dil jo dard-ashna nahin hota
wo kisi kaam ka nahin hota
dil nahin hai wo aur hi kuchh hai
jis mein kuchh muddaa nahin hota
lakh mein koi ek hota hai
har bashar parsa nahin hota
daur-e-hazir mein kaun hota hai
koi apna saga nahin hota
bhul bhi jaiye 'ziya' sahib
KHun koi juda nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.