dil jo duniya mein mubtala na rahe
dil jo duniyā meñ mubtalā na rahe
ḳhauf use maut kā zarā na rahe
haq ne baḳhshā hai dil kā ā.īna
haif us par jo haq-numā na rahe
jalva-e-husn thā junūñ-añgez
hosh apne yahāñ bajā na rahe
DhūñDte haiñ tirā sahārā ham
jab koī aur aasrā na rahe
rāstī ho shi.ār agar 'mahrūm'
shikva-e-dahr-e-kaj-adā na rahe
dil jo duniya mein mubtala na rahe
KHauf use maut ka zara na rahe
haq ne baKHsha hai dil ka aaina
haif us par jo haq-numa na rahe
jalwa-e-husn tha junun-angez
hosh apne yahan baja na rahe
DhunDte hain tera sahaara hum
jab koi aur aasra na rahe
rasti ho shiar agar 'mahrum'
shikwa-e-dahr-e-kaj-ada na rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.