dil jo hai aag laga dun usko
dil jo hai aag lagā duuñ us ko
aur phir ḳhud hī havā duuñ us ko
jo bhī hai us ko gañvā baiThā hai
maiñ bhalā kaise gañvā duuñ us ko
tujh gumāñ par jo imārat kī thī
sochtā huuñ ki maiñ Dhā duuñ us ko
jism meñ aag lagā duuñ us ke
aur phir ḳhud hī bujhā duuñ us ko
hijr kī nazr to denī hai use
sochtā huuñ ki bhulā duuñ us ko
jo nahīñ hai mire dil kī duniyā
kyuuñ na maiñ 'jaun' miTā duuñ us ko
dil jo hai aag laga dun us ko
aur phir KHud hi hawa dun us ko
jo bhi hai us ko ganwa baiTha hai
main bhala kaise ganwa dun us ko
tujh guman par jo imarat ki thi
sochta hun ki main Dha dun us ko
jism mein aag laga dun us ke
aur phir KHud hi bujha dun us ko
hijr ki nazr to deni hai use
sochta hun ki bhula dun us ko
jo nahin hai mere dil ki duniya
kyun na main 'jaun' miTa dun us ko
- Book : Gumaan (Poetry) (Pg. 201)
- Author : Jaun Elia
- Publication : Takhleeqar Publishers (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.