dil jo murda ho to ye rashk-e-jinan kuchh bhi nahin
dil jo murda ho to ye rashk-e-jināñ kuchh bhī nahīñ
laala ho sabza ho yā āb-e-ravāñ kuchh bhī nahīñ
ye dahakte hue ġhunche ye sulagte hue dil
har taraf soz-e-darūñ harf-e-zabāñ kuchh bhī nahīñ
pyāre dāman se judā ho ga.e maiñ ne dekhā
hasrateñ bolīñ miyāñ umr-e-ravāñ kuchh bhī nahīñ
lafz-o-ma.anī meñ jo rishta hai vo buniyādī hai
sirf alfāz kā ik sail-e-ravāñ kuchh bhī nahīñ
karda-nā-karda gunāhoñ meñ kaTī umr-e-azīz
log kahte haiñ ziyāñ varna ziyāñ kuchh bhī nahīñ
bārish-e-sañg ho shīshe kī kamīñ-gāhoñ se
kaise farzāne ho shīshe kā makāñ kuchh bhī nahīñ
ḳhvāb se ḳhvāb meñ ik umr giraftār rahā
ab khalā ḳhvāb ba-juz vahm-o-gumāñ kuchh bhī nahīñ
dil jo murda ho to ye rashk-e-jinan kuchh bhi nahin
lala ho sabza ho ya aab-e-rawan kuchh bhi nahin
ye dahakte hue ghunche ye sulagte hue dil
har taraf soz-e-darun harf-e-zaban kuchh bhi nahin
pyare daman se juda ho gae main ne dekha
hasraten bolin miyan umr-e-rawan kuchh bhi nahin
lafz-o-mani mein jo rishta hai wo buniyaadi hai
sirf alfaz ka ek sail-e-rawan kuchh bhi nahin
karda-na-karda gunahon mein kaTi umr-e-aziz
log kahte hain ziyan warna ziyan kuchh bhi nahin
barish-e-sang ho shishe ki kamin-gahon se
kaise farzane ho shishe ka makan kuchh bhi nahin
KHwab se KHwab mein ek umr giraftar raha
ab khala KHwab ba-juz wahm-o-guman kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.