dil jo tesha-zani pe mail hai
dil jo tesha-zanī pe maa.il hai
kuchh na kuchh rāste meñ haa.il hai
tū jo hairat-zada nahīñ hotā
tū mirī guftugū kā qaa.il hai
maiñ musāfir huuñ kohna rasmoñ kī
mere aage rah-e-qabā.il hai
kyā sunā.ūñ maiñ hāl-e-dil ki ye dil
terī kaj-fahmiyoñ se ghāyal hai
raqs kartā hai harf harf mirā
mere lahje meñ kaun paa.il hai
mere pairoñ ko Dasne vaalā saañp
merī gardan meñ kyuuñ hamā.il hai
dil jo tesha-zani pe mail hai
kuchh na kuchh raste mein hail hai
tu jo hairat-zada nahin hota
tu meri guftugu ka qail hai
main musafir hun kohna rasmon ki
mere aage rah-e-qabail hai
kya sunaun main haal-e-dil ki ye dil
teri kaj-fahmiyon se ghayal hai
raqs karta hai harf harf mera
mere lahje mein kaun pail hai
mere pairon ko Dasne wala sanp
meri gardan mein kyun hamail hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.