dil ka arman apne andar hi chhupa rah jaega
dil kā armāñ apne andar hī chhupā rah jā.egā
kātib-e-taqdīr kā āḳhir likhā rah jā.egā
mahfiloñ meñ dekh ke jo phertā hai apnā ruḳh
vo akele meñ mujhe hī sochtā rah jā.egā
kah rahā thā mujh se merā dost pyārā ek din
tū jo bichhḌā zindagī meñ ik ḳhalā rah jā.egā
ban paḌā jab kuchh nahīñ to us ko ye kahnā paḌā
jis diye meñ jaan hogī vo diyā rah jā.egā
mere ghar kī saarī raunaq pyārī maañ ke dam se hai
maañ jo bichhḌī kyā mire ghar meñ bachā rah jā.egā
ye 'shagufta' kā hai īmāñ ik haqīqat hai ḳhudā
āñdhiyoñ ke baad bhī nām-e-ḳhudā rah jā.egā
dil ka arman apne andar hi chhupa rah jaega
katib-e-taqdir ka aaKHir likha rah jaega
mahfilon mein dekh ke jo pherta hai apna ruKH
wo akele mein mujhe hi sochta rah jaega
kah raha tha mujh se mera dost pyara ek din
tu jo bichhDa zindagi mein ek KHala rah jaega
ban paDa jab kuchh nahin to us ko ye kahna paDa
jis diye mein jaan hogi wo diya rah jaega
mere ghar ki sari raunaq pyari man ke dam se hai
man jo bichhDi kya mere ghar mein bacha rah jaega
ye 'shagufta' ka hai iman ek haqiqat hai KHuda
aandhiyon ke baad bhi nam-e-KHuda rah jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.