dil ka gulab maine jise chum kar diya
dil kā gulāb maiñ ne jise chuum kar diyā
us ne mujhe bahār se mahrūm kar diyā
ab phuul kyā khileñ ki jahāñ pattiyāñ nahīñ
mausam ne shāḳh shāḳh ko masmūm kar diyā
ghar-bār chhoḌ kar vo faqīroñ se jā mile
chāhat ne bādshāhoñ ko mahkūm kar diyā
in āñsuoñ se dil kī tapish aur baḌh ga.ī
bārish ne aur bhī mujhe maġhmūm kar diyā
ye aarzū hai us pe koī na.at likh sakūñ
jis ne gunāhgār ko ma.asūm kar diyā
'anjum' janāb-e-mīr kā ye faiz-e-ḳhās hai
ham ne bhī apne dard ko manzūm kar diyā
dil ka gulab main ne jise chum kar diya
us ne mujhe bahaar se mahrum kar diya
ab phul kya khilen ki jahan pattiyan nahin
mausam ne shaKH shaKH ko masmum kar diya
ghar-bar chhoD kar wo faqiron se ja mile
chahat ne baadshahon ko mahkum kar diya
in aansuon se dil ki tapish aur baDh gai
barish ne aur bhi mujhe maghmum kar diya
ye aarzu hai us pe koi nat likh sakun
jis ne gunahgar ko masum kar diya
'anjum' janab-e-mir ka ye faiz-e-KHas hai
hum ne bhi apne dard ko manzum kar diya
- Book : Khamoshiyaon Ka Nagma (Pg. 48)
- Author : Dr. Anjum Barabankvi
- Publication : Educational Publishing House (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.