dil ka kab eatibar tha mujhko
dil kā kab e.atibār thā mujh ko
baaġh ye regzār thā mujh ko
jab ajab sā qarār thā us pal
jaane kyoñ iztirār thā mujh ko
sochnā tujh ko ġham-zada rah kar
kis qadar ġham-gusār thā mujh ko
tez bārish se un charāġhoñ kā
bhīgnā sāzgār thā mujh ko
zulf sar kī to ik safar darpesh
sāmne pechdār thā mujh ko
niiñd meñ Dagmagā rahā thā raat
raat aisā ḳhumār thā mujh ko
hālat-e-jazb meñ to terā hijāb
aag thā aur sharār thā mujh ko
bikhrī bikhrī thakan ke baad kā ḳhvāb
haa.e kyā shāndār thā mujh ko
dil ka kab eatibar tha mujh ko
bagh ye regzar tha mujh ko
jab ajab sa qarar tha us pal
jaane kyon iztirar tha mujh ko
sochna tujh ko gham-zada rah kar
kis qadar gham-gusar tha mujh ko
tez barish se un charaghon ka
bhigna sazgar tha mujh ko
zulf sar ki to ek safar darpesh
samne pechdar tha mujh ko
nind mein Dagmaga raha tha raat
raat aisa KHumar tha mujh ko
haalat-e-jazb mein to tera hijab
aag tha aur sharar tha mujh ko
bikhri bikhri thakan ke baad ka KHwab
hae kya shandar tha mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.