dil ka kya hai wo to chahega musalsal milna
dil kā kyā hai vo to chāhegā musalsal milnā
vo sitamgar bhī magar soche kisī pal milnā
vaañ nahīñ vaqt to ham bhī haiñ adīm-ul-fursat
us se kyā miliye jo har roz kahe kal milnā
ishq kī rah ke musāfir kā muqaddar ma.alūm
shahr kī soch meñ ho aur use jañgal milnā
us kā milnā hai ajab tarah kā milnā jaise
dasht-e-ummīd meñ andeshe kā bādal milnā
dāman-e-shab ko agar chaak bhī kar liiñ to kahāñ
nuur meñ Duubā huā sub.h kā āñchal milnā
dil ka kya hai wo to chahega musalsal milna
wo sitamgar bhi magar soche kisi pal milna
wan nahin waqt to hum bhi hain adim-ul-fursat
us se kya miliye jo har roz kahe kal milna
ishq ki rah ke musafir ka muqaddar malum
shahr ki soch mein ho aur use jangal milna
us ka milna hai ajab tarah ka milna jaise
dasht-e-ummid mein andeshe ka baadal milna
daman-e-shab ko agar chaak bhi kar lin to kahan
nur mein Duba hua subh ka aanchal milna
- Book : kulliyaat-e-maahe tamaam(khud kalaamii) (Pg. 134)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.