dil ka safar bas ek hi manzil pe bas nahin
dil kā safar bas ek hī manzil pe bas nahīñ
itnā ḳhayāl us kā hameñ is baras nahīñ
dekho gul-e-ahār-e-asar dasht-e-shām meñ
dīvār-o-dar koī bhī kahīñ pesh-o-pas nahīñ
aayā nahīñ yaqīn bahut der tak hameñ
apne hī ghar kā dar hai ye bāb-e-qafas nahīñ
aisā safar hai jis kī koī intihā nahīñ
aisā makāñ hai jis meñ koī ham-nafas nahīñ
aa.egī phir bahār isī shahr meñ 'munīr'
taqdīr is nagar kī faqat ḳhār-o-ḳhas nahīñ
dil ka safar bas ek hi manzil pe bas nahin
itna KHayal us ka hamein is baras nahin
dekho gul-e-ahaar-e-asar dasht-e-sham mein
diwar-o-dar koi bhi kahin pesh-o-pas nahin
aaya nahin yaqin bahut der tak hamein
apne hi ghar ka dar hai ye bab-e-qafas nahin
aisa safar hai jis ki koi intiha nahin
aisa makan hai jis mein koi ham-nafas nahin
aaegi phir bahaar isi shahr mein 'munir'
taqdir is nagar ki faqat KHar-o-KHas nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.