dil kabhi talib-e-dua na hua
dil kabhī tālib-e-duā na huā
sabab-e-sharm iltijā na huā
dil-e-sozāñ ne kī na aah kabhī
sho.ala minnat-kash-e-havā na huā
dil meñ daftar bhare hue the magar
muñh se ik harf bhī adā na huā
rang-e-hasrat na jam sakā dil meñ
aa.ina sūrat-āshnā na huā
rah gayā kaun sā gunah taufīq
pūchhiye sach to ham se kyā na huā
dil kabhi talib-e-dua na hua
sabab-e-sharm iltija na hua
dil-e-sozan ne ki na aah kabhi
shoala minnat-kash-e-hawa na hua
dil mein daftar bhare hue the magar
munh se ek harf bhi ada na hua
rang-e-hasrat na jam saka dil mein
aaina surat-ashna na hua
rah gaya kaun sa gunah taufiq
puchhiye sach to hum se kya na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.