dil kahan ab kisi se milta hai
dil kahāñ ab kisī se miltā hai
ḳhud se bhī be-dilī se miltā hai
ḳhushk se ho ga.e haiñ rishte sab
har koī be-ruḳhī se miltā hai
ḳhaar apnoñ ke bhuul jaatī huuñ
phuul jab ajnabī se miltā hai
mol hotā jahāñ meñ har shai kā
ye sabaq muflisī se miltā hai
'sarv' mat pūchh tū mazā kitnā
dūsroñ kī ḳhushī se miltā hai
dil kahan ab kisi se milta hai
KHud se bhi be-dili se milta hai
KHushk se ho gae hain rishte sab
har koi be-ruKHi se milta hai
KHar apnon ke bhul jati hun
phul jab ajnabi se milta hai
mol hota jahan mein har shai ka
ye sabaq muflisi se milta hai
'sarw' mat puchh tu maza kitna
dusron ki KHushi se milta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.