dil kahin bhi nahin lagta hoga
dil kahīñ bhī nahīñ lagtā hogā
dil nahīñ māntā aisā hogā
jitnā hañgāma ziyāda hogā
aadmī utnā hī tanhā hogā
chaltā-phirtā hai sitāra merā
ab kahīñ aur chamaktā hogā
maiñ ne ik baat chhupā rakkhī hai
ab usī baat kā charchā hogā
dil kahin bhi nahin lagta hoga
dil nahin manta aisa hoga
jitna hangama ziyaada hoga
aadmi utna hi tanha hoga
chalta-phirta hai sitara mera
ab kahin aur chamakta hoga
main ne ek baat chhupa rakkhi hai
ab usi baat ka charcha hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.