dil ke āġhosh meñ vo rāhat-e-jāñ rahtā hai
banda ḳhānī meñ ḳhudā-vand-e-jahāñ rahtā hai
ishq ke aate hī sab jaate rahe hosh-o-havās
jānvar rahte nahīñ sher jahāñ rahtā hai
ek aqlīm meñ do shaah nahīñ rah sakte
ishq jab aayā lo ārām kahāñ rahtā hai
DhūñDhiye dil ko to kahte haiñ vo ye sīna-sipar
ik mire ḳhāna-e-zanjīr meñ yahāñ rahtā hai
guzre ai paik-e-sabā to ye duā kah denā
kūcha-e-zulf meñ dil nām-e-javāñ rahtā hai
dil ke aaghosh mein wo rahat-e-jaan rahta hai
banda KHani mein KHuda-wand-e-jahan rahta hai
ishq ke aate hi sab jate rahe hosh-o-hawas
jaanwar rahte nahin sher jahan rahta hai
ek aqlim mein do shah nahin rah sakte
ishq jab aaya lo aaram kahan rahta hai
DhunDhiye dil ko to kahte hain wo ye sina-sipar
ek mere KHana-e-zanjir mein yahan rahta hai
guzre ai paik-e-saba to ye dua kah dena
kucha-e-zulf mein dil nam-e-jawan rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.