dil ke aaine mein nit jalwa-kunan rahta hai
dil ke aaine mein nit jalwa-kunan rahta hai
Sher Mohammad Khan Iman
MORE BYSher Mohammad Khan Iman
dil ke ā.īne meñ nit jalva-kunāñ rahtā hai
ham ne dekhā hai tū ai shoḳh jahāñ rahtā hai
koī din ghar se na nikle hai agar vo ḳhurshīd
muntazir shaam talak ek jahāñ rahtā hai
jhaaḌ dāman ke ta.iiñ maar ke Thokar nikle
kahīñ roke se bhī vo sarv-e-ravāñ rahtā hai
gaahe maahe ai mah-e-īd idhar bhī to guzar
roz o shab bazm meñ terā hī bayāñ rahtā hai
bāvajūd-e-ki mujhe rabt-e-dilī hai us se
ye na pūchhā kabhū 'īmān' kahāñ rahtā hai
dil ke aaine mein nit jalwa-kunan rahta hai
hum ne dekha hai tu ai shoKH jahan rahta hai
koi din ghar se na nikle hai agar wo KHurshid
muntazir sham talak ek jahan rahta hai
jhaD daman ke tain mar ke Thokar nikle
kahin roke se bhi wo sarw-e-rawan rahta hai
gahe mahe ai mah-e-id idhar bhi to guzar
roz o shab bazm mein tera hi bayan rahta hai
bawajud-e-ki mujhe rabt-e-dili hai us se
ye na puchha kabhu 'iman' kahan rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.