dil ke afsane ko afsana samajhne wale
dil ke afsāne ko afsāna samajhne vaale
ḳhuub samjhe mujhe dīvāna samajhne vaale
dekh kar bhī na kabhī jaan sake husn kā raaz
ishq ko ilm se begāna samajhne vaale
aa tujhe zabt ke isrāf se āgāh karūñ
aah ko dard kā paimāna samajhne vaale
shaiḳh jāgīr samajhtā hai ḳhudā.ī ko bhī
ham ḳhudā ko bhī kisī kā na samajhne vaale
qais se dasht meñ kyā ḳhuub mulāqāt rahī
log milte nahīñ rozāna samajhne vaale
ghar ko lauTe bhī to bikhre hue lauTe 'rāhīl'
ḳhud ko ḳhāk-e-rah-e-jānāna samajhne vaale
dil ke afsane ko afsana samajhne wale
KHub samjhe mujhe diwana samajhne wale
dekh kar bhi na kabhi jaan sake husn ka raaz
ishq ko ilm se begana samajhne wale
aa tujhe zabt ke israf se aagah karun
aah ko dard ka paimana samajhne wale
shaiKH jagir samajhta hai KHudai ko bhi
hum KHuda ko bhi kisi ka na samajhne wale
qais se dasht mein kya KHub mulaqat rahi
log milte nahin rozana samajhne wale
ghar ko lauTe bhi to bikhre hue lauTe 'rahil'
KHud ko KHak-e-rah-e-jaanana samajhne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.