dil ke bahlane ko dil mein koi dilbar rakhna
dil ke bahlāne ko dil meñ koī dilbar rakhnā
aur begam kī nigāhoñ se bachā kar rakhnā
saare ahbāb meñ bad-nām tumheñ kar degī
apne ahvāl paḌosan se chhupā kar rakhnā
kaam agar apnā banānā hai to phir is ke liye
haath meñ apne koī ek minister rakhnā
gar kamānā ho to degrē pe bharosa na karo
DugDugī haath meñ aur saath meñ bandar rakhnā
duur tak naam kī tash.hīr agar hai manzūr
jaarī tanqīd adīboñ pe barābar rakhnā
hoñ fasādāt to apne ko chhupāne ke liye
apne āñgan meñ koī peḌ tanāvar rakhnā
aam filmoñ ke tufail aaj hue love-latter
post office meñ ka.ī ek kabūtar rakhnā
ġhair mad.ū ko kisī tarah na baḌhne deñge
bazm-e-jauhar meñ qadam soch samajh kar rakhnā
mas.ale kyuuñ na hoñ sangīn se sangīn 'rahīm'
qahqahe kal ke liye un ke uThā kar rakhnā
dil ke bahlane ko dil mein koi dilbar rakhna
aur begam ki nigahon se bacha kar rakhna
sare ahbab mein bad-nam tumhein kar degi
apne ahwal paDosan se chhupa kar rakhna
kaam agar apna banana hai to phir is ke liye
hath mein apne koi ek minister rakhna
gar kamana ho to degree pe bharosa na karo
DugDugi hath mein aur sath mein bandar rakhna
dur tak nam ki tashhir agar hai manzur
jari tanqid adibon pe barabar rakhna
hon fasadat to apne ko chhupane ke liye
apne aangan mein koi peD tanawar rakhna
aam filmon ke tufail aaj hue lowe-latter
post office mein kai ek kabutar rakhna
ghair madu ko kisi tarah na baDhne denge
bazm-e-jauhar mein qadam soch samajh kar rakhna
masale kyun na hon sangin se sangin 'rahim'
qahqahe kal ke liye un ke uTha kar rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.