dil ke dariya ko kisi roz utar jaana hai
dil ke dariyā ko kisī roz utar jaanā hai
itnā be-samt na chal lauT ke ghar jaanā hai
us tak aatī hai to har chiiz Thahar jaatī hai
jaise paanā hī use asl meñ mar jaanā hai
bol ai shām-e-safar rañg-e-rihā.ī kyā hai
dil ko ruknā hai ki tāroñ ko Thahar jaanā hai
kaun ubharte hue mahtāb kā rasta roke
us ko har taur sū-e-dasht-e-sahar jaanā hai
maiñ khilā huuñ to usī ḳhaak meñ milnā hai mujhe
vo to ḳhushbū hai use agle nagar jaanā hai
vo tire husn kā jaadū ho ki merā ġham-e-dil
har musāfir ko kisī ghaaT utar jaanā hai
dil ke dariya ko kisi roz utar jaana hai
itna be-samt na chal lauT ke ghar jaana hai
us tak aati hai to har chiz Thahar jati hai
jaise pana hi use asl mein mar jaana hai
bol ai sham-e-safar rang-e-rihai kya hai
dil ko rukna hai ki taron ko Thahar jaana hai
kaun ubharte hue mahtab ka rasta roke
us ko har taur su-e-dasht-e-sahar jaana hai
main khila hun to usi KHak mein milna hai mujhe
wo to KHushbu hai use agle nagar jaana hai
wo tere husn ka jadu ho ki mera gham-e-dil
har musafir ko kisi ghaT utar jaana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.