dil ke ghuTne ko ishaara samjho
dil ke ghuTne ko ishārā samjho
dahr ye apnā ḳhasārā samjho
ye bhī mumkin hai ki tum duur ke log
is alaav ko sitāra samjho
ye bhī ik mauj hai miTTī kī sahī
vaqt kam hai to kinārā samjho
par nahīñ hote ḳhayāloñ ke to phir
kaise uḌte haiñ ġhubārā samjho
kise ma.alūm ḳhazāna mil jaa.e
koī naqsha to dobāra samjho
khet rul jā.eñge pāgal-pan meñ
jañg kaisī mujhe haarā samjho
dil ke ghuTne ko ishaara samjho
dahr ye apna KHasara samjho
ye bhi mumkin hai ki tum dur ke log
is alaw ko sitara samjho
ye bhi ek mauj hai miTTi ki sahi
waqt kam hai to kinara samjho
par nahin hote KHayalon ke to phir
kaise uDte hain ghubara samjho
kise malum KHazana mil jae
koi naqsha to dobara samjho
khet rul jaenge pagal-pan mein
jang kaisi mujhe haara samjho
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 624)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.