dil ke har juzw mein judai hai
dil ke har juzv meñ judā.ī hai
kyā balā vasl kī samā.ī hai
nā-rasā.ī sar-e-rasā.ī hai
zo.af kī tāqat āzmā.ī hai
jām-o-mīnā pe nuur barse hai
kyā ghaTā mai-kade pe chhā.ī hai
yuuñ to vo ālam-āshnā hai magar
ik mujhī se zarā laḌā.ī hai
tū milā ġhair se ki ḳhaak meñ ham
āqibat har tarah safā.ī hai
tum judā ġhair se hue the kab
vājibī ta.an-e-bevafā.ī hai
ai 'qalaq' ham se to milā kar yaar
ḳhālis ulfat meñ kyā burā.ī hai
dil ke har juzw mein judai hai
kya bala wasl ki samai hai
na-rasai sar-e-rasai hai
zoaf ki taqat aazmai hai
jam-o-mina pe nur barse hai
kya ghaTa mai-kade pe chhai hai
yun to wo aalam-ashna hai magar
ek mujhi se zara laDai hai
tu mila ghair se ki KHak mein hum
aaqibat har tarah safai hai
tum juda ghair se hue the kab
wajibi tan-e-bewafai hai
ai 'qalaq' hum se to mila kar yar
KHalis ulfat mein kya burai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.