Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ke hote bhi kahin dard juda hota hai

Saqib Lakhnavi

dil ke hote bhi kahin dard juda hota hai

Saqib Lakhnavi

MORE BYSaqib Lakhnavi

    dil ke hote bhī kahīñ dard judā hotā hai

    ik faqat maut ke aa jaane se kyā hotā hai

    zulm se zikr-e-vafā aur sivā hotā hai

    un har ek burā.ī meñ bhalā hotā hai

    shohdā ne.mat-e-duniyā talab bhuul ga.e

    ḳhuun ke ghūñT meñ aisā mazā hotā hai

    ḳhud-farāmoshī-e-ulfat hai ilāj-e-ġham-e-dahr

    be-ḳhabar hosh meñ aanā burā hotā hai

    imtihāñ-gāh tirī mahfil-e-dilkash hai magar

    maiñ bhī dekhūñ ki koī dil ke sivā hotā hai

    tum se kahtā huuñ mirā ḳhuun mire dil pe sahī

    rasm-e-duniyā hai ki apnoñ se gilā hotā hai

    bazm se uTh to chalā maiñ ki mahal thā lekin

    rone vāloñ se bhalā koī ḳhafā hotā hai

    dekh lete haiñ sab nāz-o-adā sūrat

    aa.ina aap naqsh-e-kaf-e-pā hotā hai

    nāla-e-dil ke asar na karo mujh se gila

    mujh ko kyā ilm ki kis tarah rasā hotā hai

    tauba tauba hai yahī ishq bātil nazarī

    sañg but-ḳhāne meñ aate ḳhudā hotā hai

    kyā sabab kuchh tujhe ma.alūm hai ai abr-e-bahār

    dil ke murjhāne se kyuuñ zaḳhm harā hotā hai

    vo kaheñ na kaheñ maiñ huuñ asar se vāqif

    bol uThtā hai vo naala jo rasā hotā hai

    raushnī din abhī hai ki haiñ kho.e hue hosh

    dekhnā hai shab-e-tārīk meñ kyā hotā hai

    hijr ke dard ko baḌhne de ki hai muzhda-e-vasl

    vahī ghaTtā hai jahāñ meñ jo sivā hotā hai

    bad-nasībī ho to har ḳhuub ḳhūbī hai fuzūl

    sub.h vaqt sitāroñ ko burā hotā hai

    dil to dil sar bhī kabhī hotā hai mamnūn-e-firāq

    jis meñ hai ishq ye saudā vo judā hotā hai

    mire raazī ba-razā hone se sab raazī haiñ

    varna jo hai vo shikāyat se ḳhafā hotā hai

    avvalīñ marhala-e-ishq hai jab hasrat-o-maut

    koī batlā.e ki phir ba.ad meñ kyā hotā hai

    bīm-o-ummīd se kis tarah nikal jā.ūñ ki dil

    na Thahartā hai jahāñ meñ na fanā hotā hai

    muntazir naza.a meñ chup hai to use chup na samajh

    dam ruk ruk ke nikalnā bhī gilā hotā hai

    shab-e-tārīk meñ niklā to hai dekhūñ 'sāqib'

    nā-rasā rahtā hai naala ki rasā hotā hai

    dil ke hote bhi kahin dard juda hota hai

    ek faqat maut ke aa jaane se kya hota hai

    zulm se zikr-e-wafa aur siwa hota hai

    un ki har ek burai mein bhala hota hai

    shohda nemat-e-duniya ki talab bhul gae

    KHun ke ghunT mein aisa hi maza hota hai

    KHud-faramoshi-e-ulfat hai ilaj-e-gham-e-dahr

    be-KHabar hosh mein aana hi bura hota hai

    imtihan-gah teri mahfil-e-dilkash hai magar

    main bhi dekhun ki koi dil ke siwa hota hai

    tum se kahta hun mera KHun mere dil pe sahi

    rasm-e-duniya hai ki apnon se gila hota hai

    bazm se uTh to chala main ki mahal tha lekin

    rone walon se bhala koi KHafa hota hai

    dekh hi lete hain sab naz-o-ada ki surat

    aaina aap ka naqsh-e-kaf-e-pa hota hai

    nala-e-dil ke asar ka na karo mujh se gila

    mujh ko kya ilm ki kis tarah rasa hota hai

    tauba tauba hai yahi ishq ki baatil nazari

    sang but-KHane mein aate hi KHuda hota hai

    kya sabab kuchh tujhe malum hai ai abr-e-bahaar

    dil ke murjhane se kyun zaKHm hara hota hai

    wo kahen ya na kahen main hun asar se waqif

    bol uThta hai wo nala jo rasa hota hai

    raushni din ki abhi hai ki hain khoe hue hosh

    dekhna hai shab-e-tarik mein kya hota hai

    hijr ke dard ko baDhne de ki hai muzhda-e-wasl

    wahi ghaTta hai jahan mein jo siwa hota hai

    bad-nasibi ho to har KHub ki KHubi hai fuzul

    subh ka waqt sitaron ko bura hota hai

    dil to dil sar bhi kabhi hota hai mamnun-e-firaq

    jis mein hai ishq ye sauda wo juda hota hai

    mere raazi ba-raza hone se sab raazi hain

    warna jo hai wo shikayat se KHafa hota hai

    awwalin marhala-e-ishq hai jab hasrat-o-maut

    koi batlae ki phir baad mein kya hota hai

    bim-o-ummid se kis tarah nikal jaun ki dil

    na Thaharta hai jahan mein na fana hota hai

    muntazir naza mein chup hai to use chup na samajh

    dam ka ruk ruk ke nikalna bhi gila hota hai

    shab-e-tarik mein nikla to hai dekhun 'saqib'

    na-rasa rahta hai nala ki rasa hota hai

    Source :
    • Book : Deewan-e-Saqib (Pg. 323)
    • Author : Mirza Zakir Husain Qazlibaas Saqib Lucknowvi
    • Publication : Urdu Acadami U.P. (1998)
    • Edition : 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now