dil ke jazbaat dabae rakhna
dil ke jazbāt dabā.e rakhnā
daaġh siine ke chhupā.e rakhnā
ġham kī rāhoñ meñ añdhere haiñ bahut
diip ḳhushiyoñ ke jalā.e rakhnā
tere dil meñ na utar jaa.e kahīñ
ḳhud ko duniyā se bachā.e rakhnā
ham ne sīkhā hai tumhīñ se logo
apne chehre ko chhupā.e rakhnā
dil ke jazbaat dabae rakhna
dagh sine ke chhupae rakhna
gham ki rahon mein andhere hain bahut
dip KHushiyon ke jalae rakhna
tere dil mein na utar jae kahin
KHud ko duniya se bachae rakhna
hum ne sikha hai tumhin se logo
apne chehre ko chhupae rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.