dil ke kaghaz par likha hai tera nam
dil ke kāġhaz par likhā hai terā naam
chain miltā hai paḌhūñ jab sub.h-o-shām
kyā ḳhabar thī 'ishq bhī ik rog hai
varna kāfir dil ko de detī lagām
zindagī bhar zindagī kab kar sakī
zindagī mere liye thī jaise laam
sar pe saudā-e-junūñ jab ho savār
sūjhtā aise meñ phir kyā koī kaam
honī anhonī nahīñ hotī kabhī
honī hotī hai bahut hī be-lagām
barkateñ harakat meñ muzmar haiñ bahut
karte rahnā chāhiye insāñ ko kaam
ai 'munavvar' dil ko qaabū meñ rakho
rah na pāogī vagarna nek naam
dil ke kaghaz par likha hai tera nam
chain milta hai paDhun jab subh-o-sham
kya KHabar thi 'ishq bhi ek rog hai
warna kafir dil ko de deti lagam
zindagi bhar zindagi kab kar saki
zindagi mere liye thi jaise lam
sar pe sauda-e-junun jab ho sawar
sujhta aise mein phir kya koi kaam
honi anhoni nahin hoti kabhi
honi hoti hai bahut hi be-lagam
barkaten harakat mein muzmar hain bahut
karte rahna chahiye insan ko kaam
ai 'munawwar' dil ko qabu mein rakho
rah na paogi wagarna nek nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.