dil ke kahne par chal nikla
dil ke kahne par chal niklā
maiñ bhī kitnā pāgal niklā
aañsū nikle kājal niklā
rone se kab kuchh hal niklā
poñchh sakā bas apne aañsū
kitnā chhoTā āñchal niklā
chuur huā par jhuuT na bolā
darpan mujh sā aḌiyal niklā
bazm tirī kā dastūr yahī
jo bhī niklā ghāyal niklā
dushman ke ghar būñdeñ barsīñ
merī chhat se bādal niklā
qatl huī har hasrat āḳhir
dil merā ik maqtal niklā
bāhar se thā ḳhaar 'sadā' tū
andar phuul sā komal niklā
dil ke kahne par chal nikla
main bhi kitna pagal nikla
aansu nikle kajal nikla
rone se kab kuchh hal nikla
ponchh saka bas apne aansu
kitna chhoTa aanchal nikla
chur hua par jhuT na bola
darpan mujh sa aDiyal nikla
bazm teri ka dastur yahi
jo bhi nikla ghayal nikla
dushman ke ghar bunden barsin
meri chhat se baadal nikla
qatl hui har hasrat aaKHir
dil mera ek maqtal nikla
bahar se tha KHar 'sada' tu
andar phul sa komal nikla
- Book : sadaa ambaalvii (Pg. scan)
- Author : sadaa ambaalvii
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.