dil ke KHatir ye badan hai qaid-KHane ki tarah
dil ke ḳhātir ye badan hai qaid-ḳhāne kī tarah
so lagā hai phaḌphaḌāne ye parinde kī tarah
ho parī koī yā koī phuul hī ho kyā huā
koī bhī pyārā nahīñ hai us ke chehre kī tarah
chāñd hai jo āsmāñ meñ vo to hai us kī jabīñ
aur taare haiñ ye saare us ke jhumke kī tarah
dekhtā hī kyuuñ na jā.ūñ baiTh ke maiñ bas use
us kā chehra hai hasīñ koī nazāre kī tarah
kāTtī haiñ ba.ad tere roz hī rāteñ mujhe
yaad terī siine pe chaltī hai aare kī tarah
ham in āñkhoñ se use har roz paḌhte aa.e haiñ
vo badan to yaad hai do ke pahāḌe kī tarah
dil ke KHatir ye badan hai qaid-KHane ki tarah
so laga hai phaDphaDane ye parinde ki tarah
ho pari koi ya koi phul hi ho kya hua
koi bhi pyara nahin hai us ke chehre ki tarah
chand hai jo aasman mein wo to hai us ki jabin
aur tare hain ye sare us ke jhumke ki tarah
dekhta hi kyun na jaun baiTh ke main bas use
us ka chehra hai hasin koi nazare ki tarah
kaTti hain baad tere roz hi raaten mujhe
yaad teri sine pe chalti hai aare ki tarah
hum in aankhon se use har roz paDhte aae hain
wo badan to yaad hai do ke pahaDe ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.