dil ke liye hayat ka paigham ban gain
dil ke liye hayāt kā paiġhām ban ga.iiñ
be-tābiyāñ simaT ke tirā naam ban ga.iiñ
kuchh laġhzishoñ se kaam jahāñ ke sañvar ga.e
kuchh jur.ateñ hayāt par ilzām ban ga.iiñ
har-chand vo nigāheñ hamāre liye na thiiñ
phir bhī harīf-e-gardish-e-ayyām ban ga.iiñ
aane lagā hayāt ko anjām kā ḳhayāl
jab ārzūeñ phail ke ik daam ban ga.iiñ
kuchh kam nahīñ jahāñ se jahāñ kī masarrateñ
jab paas aa.iiñ dushman-e-ārām ban ga.iiñ
'bāqī' jahāñ karegā mirī mai-kashī pe rashk
un kī hasīñ nigāheñ agar jaam ban ga.iiñ
dil ke liye hayat ka paigham ban gain
be-tabiyan simaT ke tera nam ban gain
kuchh laghzishon se kaam jahan ke sanwar gae
kuchh juraten hayat par ilzam ban gain
har-chand wo nigahen hamare liye na thin
phir bhi harif-e-gardish-e-ayyam ban gain
aane laga hayat ko anjam ka KHayal
jab aarzuen phail ke ek dam ban gain
kuchh kam nahin jahan se jahan ki masarraten
jab pas aain dushman-e-aram ban gain
'baqi' jahan karega meri mai-kashi pe rashk
un ki hasin nigahen agar jam ban gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.